Tuesday, 29 May 2012

what i have in common

aaj shayad angraize main na likh paoun so writing in urdu.limits hu gain ab tu...........main aaj tak past main rehti rhi is umeed pe main ghalat hun ...insaan ku kbhi khud ku nhin jhukana chaheiya kisi ka lia...koi insaan iska haqdar nhin aur jo haqdar huga woh aapko jhukna nhin daiga........zindagi main rishtun ka peicha na bhago bus jo rishta aisa hain jin main aapko ikhtiyar nhin unhain nibhaou mager khud sa aisa koi rishta na banaou kiyunkeh aisa rishtah zyadah takleif deta hai.......................kbhi aap kisi sa mahz kuch alfaz sunana ka lia ghanttun baith^tay hain aur phir kuch lamhun main aap ku lagta hai sara intzaar aap na aansoun ka lia kia...........apni zindagi main ager kisi ku ahmeit deta hu tu usa pta na lagna du kiyunkeh woh insaan kitna hi mahaan kiyun na hu tmhain azmaiga..............khud ku bacha lo azmaish sa us dard sa aur rishtun ki dor kbhi na seinchu....amuman jo log aapko rishtay seinchna seikhata hain aapka sath apna rishta ku pal bhar main berehmi sa tur deta hain aur aapko milta hai tu salha rasta hua aik zakhm!

Wednesday, 9 May 2012

ajnabi

maira dil kerta hai jab main likhun tu perhna wala ku kbji mera na pta chala keh main kon hun main na yeh jo likha kiyun likha.ab her kisi ka apna andax hai likhna ka koi apni zindagi likhta hai koi kisi ki kahani likhta hai aur koi donun ka naya murakab bana deta hai mager main kia likhte hun pta nhin na main pta kerna chahte hun jawab buht paichedah hai is sawal ka...........main kia likhte hun kaisa likhte hun kbhi mjhay lagta hai main na sab kuch bta dia hia duniya ku apna bara main phir yeh kaisa nasamjhh log hian jo nhin samajhh pai jan pai lazmi tu nhin main kahun main ro rhi hun kia jo mjhay jantya samajhhta hai ya jisa janana ka haq hai usa khud pta chal jaiga main ro rhi hun chaha main likhun main hans rhi hun.shayad main kuch zyadah hiumeedain laga rhi hun aur ise wajah sa aaj bhi tanha thi buht sa logun ka darmyan tanha kia jhutta sacha qahqahay haqeqat chupa deta hain.ya such tu yeh hai main khud sach sa darte hun n itna ghiri hui hun sat^hai batun main koi gehra sawal aa jai tu such bh jhutt hi lagta hai n jhutt bhi such...itna kuch likhna kehna ka baad bhi main aik ajnabi thi aur anjaan hi rehna chahte thi:P