mjhay mature kaha nhin bus itna hi suna hamara bagh main yeh phal nhin
lagna ka......laikin suchna ki bat hai jinhun na yeh kaha unka bagh main
yeh phal tha.ager tha tu kia unhun na kbhi chakhha tha........hum unka
baray main koi yaktarfah raai nhin qaim ker saktay ager her waqt hansi
mazak ki bat kerna.kisi ku khush kerna ka lia kisi bhi had sa guzar
jana...khush rehna ka lia bahanay dhundna.chutti c bat per rona...mamuli
c bat per qahqahay lagana...bare bare batain na kerna...sanjeidah batun
sa door bhagna ager yeh sab immaturity hai tu phir saheih kaha kisi na
sober aur hum yeh tu khula tizaad
laikin kon samjhay keh yeh ehsaas kisi sanjeedah insaan ku hi hu sakta hai keh
kisi ku khushi di jai aur uska lia kuch kia jai...chutti c bat per rona
islia zarure hai keh khin woh ghubar dil main reh ker lava na ban
jai............hansna aur qahqahay lagana islia zarure hai keh khin yeh
baat such na hu jai keh zindagi ghamoun ka naam hai..........sanjeedah
batun sa dure islia banai jai keh khin zindagi ki talkh haqeiqtain
ashkar na hu jain .............laikin hum tu buht immature hain humain
nhin pta keh aisa kerna ghalat hai bare bare batain kerna…..chahray per
matanat ka barajmaan huna sobar huna kehlata hai....han is lihaz sa hum
thora kamxoor hain keh kisi na tareef ki nhin aur humara pair zameen
bhool jatay hain laikin sachai tu yehi hai keh tareef tu insaan ku chalna bhula dete hai laikin qabl-e-tareef tu woh hai hawa main uda
laikin yeh yaad rakhay keh zameen sa kitna fasla per hai aur girna ki bajai uterna kaisa hai......mjhay nhin pta maturelog kia suchtay hain....unhain kis cheze sa takranay ka bad woh sabaq mila jo kisi ku shayad aik raat zindagi ka mushahida sa mil jain.......jo thukar khha ker sanbhalta hai woh hamara nazdeek tajurbah
kar huta hai magar hum bhool jatay hain keh zarure nhin keh tajurbah
girna sa hi mila kisi girta hua ku uthanay sa bhi buht seikh milti
hia...donun aik hi palray main hutay hain....sirf hum aik ghalate kertay
hain logun ku jant^tay hua keh zahiri chal chalan....rakh rakhaou ku
daikh ker aik rai kaim ker letay hian.......kon janay keh muskurahta
chahra kitna aansoun ka baad tar-o-tazah hua hai....aur kitna kathin
halat ka pardah kisi ki immatuiry hai