Friday, 6 April 2012

main mama aur bhai

naam bun=ht filmy hai:p kiyunkeh ab maire zindagi kisi film sa kam nhin.buht masroof hu gai hun ab main buht zyadah waqt nhin huta koi fazool ki such nhin hute ab aur ab tanhai sa khouf nhin aata.kia hu raha hai zindagi main phir kbhi likhunge laikin aaj buht ajeeb hua gare main baitha hua mjhay laga maire aankhun main nami hai......aik aurat aur uska 2 bachun ku daikh ker mjhay rona ana laga.......Khuda Nakhawasta woh mazoor nhin the un main koi kami nhin thi bus mjhay us main apni zindagi nazar aana lage.mjhay laga maire mama mjhay aur bhai ku laiker khin ja rhi hian...woh chutta bacha ziddi tha mjhay laga.but maira bhia ziddi nhin tha maire trah usa bhi maloom tha zid hum jaisa bachun ka lia nhin banai gai.........woh ladki tutle thi kitna meitha bolti thi aur apna bhai sa bahad pyar kerte thi .mjhay bhi apna bhai yaad aana laga kaisa huta tha woh chutta huta hua woh bara kiyun hua hai mjhay maira bhai use trah chaheiya jaisa woh chutta huta hua tha kia kisi na is pe research nhin ki keh kaisa maazi main jaya jai magar main nhin jana chahhte mazi main bus bhai ku dhundna chahte hun jiski masoom si hansi bhuli bhali aankhin khin bheid main khu gai hain yeh suchta hua mjhay dukh hua laga kisi na maira dil ku zor sa jhinjura hu.kia tha woh.....aisa aksar huta hai mjhay 2 chalta behan bhaiyun main apna bhai aur khud ka aks nazar aata hai .du behan bhaiyoun aur unki maan ku daikh ker khud apni maan ku us main dhundna lagte hun mager aaj maire aankhain nam thi .buht dinun baad masroof zindagi main maira pas waqt tha khud sa bat kerna ka dil sa mulaqat kerna ka..........

No comments:

Post a Comment