mjhay dar lagta hai main chahte hun koi kuch na bola kuch na kaha kuch bhi na badla maire zindagi main bus main isetrah sab ki khamoshi main apni duniya badal lun...aik sach khula tu hazar raaz afshaan hunga mjhay dar lagta hai un sachaiyun sa.sach kedwa huta hai mana magar yahan sirf kadwa nhin hia maira wajud pe sawal hai............main woh suchaiyaan nhin badal saktein..un main sa kuch bhi nhin badal sakte.aik lamha ki ghalate aur insaan kaisa sare umr ka lia gunaahgaarun aur darpookoun ki zindagi guzarta hai..main ba^awaaze buland kehti hun main na kuch ghalat nhin kia tu main kiyun darun.kbhi aik sa ladte tu kbhi kisi senior ku ba^nuqt suna dete hu.jab main na kuch ghalat nhin kia tu kiyun darun in sab sa..mager is maamla main dar jate hun...darte hun najana kiyun.maire ghalate nhin hai mager gunaangar main hi hunge sab ka nazdeik...kasoor kisi ka hai mager main jante hun sazawar hum hi thahrai jainga............ager yeh ach pehla khul jata tu shayad dukh dard kuch na huta mager itna saal jhutt jeena aur sehna ka baad sach ka khulna mjhay dahla deta hai..kia such khulna lazmi huta hai ya kbhi kbhi jhutt ka sath hi qabar tak nibha kia jai.........
buht kushish ka baad bhi alfaaz huna ka bawajud kuch na bol pana fitri hai ya nhin pta nhin mager un tamam jazbaat , ehsasaat aur kuch talk haqeiqtun ku btana ka lia aik kawish...............
Saturday, 16 June 2012
Tuesday, 29 May 2012
what i have in common
aaj shayad angraize main na likh paoun so writing in urdu.limits hu gain ab tu...........main aaj tak past main rehti rhi is umeed pe main ghalat hun ...insaan ku kbhi khud ku nhin jhukana chaheiya kisi ka lia...koi insaan iska haqdar nhin aur jo haqdar huga woh aapko jhukna nhin daiga........zindagi main rishtun ka peicha na bhago bus jo rishta aisa hain jin main aapko ikhtiyar nhin unhain nibhaou mager khud sa aisa koi rishta na banaou kiyunkeh aisa rishtah zyadah takleif deta hai.......................kbhi aap kisi sa mahz kuch alfaz sunana ka lia ghanttun baith^tay hain aur phir kuch lamhun main aap ku lagta hai sara intzaar aap na aansoun ka lia kia...........apni zindagi main ager kisi ku ahmeit deta hu tu usa pta na lagna du kiyunkeh woh insaan kitna hi mahaan kiyun na hu tmhain azmaiga..............khud ku bacha lo azmaish sa us dard sa aur rishtun ki dor kbhi na seinchu....amuman jo log aapko rishtay seinchna seikhata hain aapka sath apna rishta ku pal bhar main berehmi sa tur deta hain aur aapko milta hai tu salha rasta hua aik zakhm!
Wednesday, 9 May 2012
ajnabi
maira dil kerta hai jab main likhun tu perhna wala ku kbji mera na pta
chala keh main kon hun main na yeh jo likha kiyun likha.ab her kisi ka
apna andax hai likhna ka koi apni zindagi likhta hai koi kisi ki kahani
likhta hai aur koi donun ka naya murakab bana deta hai mager main kia
likhte hun pta nhin na main pta kerna chahte hun jawab buht paichedah
hai is sawal ka...........main kia likhte hun kaisa likhte hun kbhi
mjhay lagta hai main na sab kuch bta dia hia duniya ku apna bara main
phir yeh kaisa nasamjhh log hian jo nhin samajhh pai jan pai lazmi tu
nhin main kahun main ro rhi hun kia jo mjhay jantya samajhhta hai ya
jisa janana ka haq hai usa khud pta chal jaiga main ro rhi hun chaha
main likhun main hans rhi hun.shayad main kuch zyadah hiumeedain laga
rhi hun aur ise wajah sa aaj bhi tanha thi buht sa logun ka darmyan
tanha kia jhutta sacha qahqahay haqeqat chupa deta hain.ya such tu yeh
hai main khud sach sa darte hun n itna ghiri hui hun sat^hai batun main
koi gehra sawal aa jai tu such bh jhutt hi lagta hai n jhutt bhi
such...itna kuch likhna kehna ka baad bhi main aik ajnabi thi aur anjaan
hi rehna chahte thi:P
Tuesday, 17 April 2012
us din main buht udaas thi jaisa aksar hute hun ovr petty issues n post type kerna lage but agal was readig what i was posting so i quitted posting..mjhay nhin achha lagta if someone from my real life reads what i m writing,,,i hate when someone interferes when i m writing khair maire kahaniyan lambi hain hamaisha ki trah aaj mjhay yaad aai blog ki time bhi tha main post kerna lage hun kia likhna hai jis pe comment bhi aai dunno but still mjhay likhna hai............adat sa majboor......log buht dughla huta hain n chalak itna keh such hai .....kbhi kbhi aapka dil kitna tang kerta hai aapko aik maire trah ka bebus insaan hi aapko bta sakta hai.dil kerta hai woh aik bar aai aur main usa daikhun.....woh mjhay aa ker salam kaha aur mjhh sa bat kera usa aur koi nazar na aai siwai maira..mjhay hairat hute thi jab log kehta the they want to see him or her .uska bag ku daikh ker mskurata the aaj maira bhi tu wohi hal hai kisi pagal deewana ki trah main idhar udhar bhattakna us usku daikhna ki tarap mager aik baat hum main ghalib wali hai apni ana nhin cuhurta ..subak sar ban ker kiyun puchain sargran kiyun hu .yeh is baat ki daleel hai hum muhabbat ka jazba sa aari hian.muhabbat main ana aur apna wajud nhin huta bus mehbooh huta hai uska roub uski shakhseit aur bus woh huta hai kash keh main un logun main sa hute jo aashiq hain ya jo in fazulyat sa kanarahkash hain kiunkeh muhabbat sa her bar ishq ka khouf sa wapis murna mout hai aur murdoun ki zindagi main sirf aansoun aur lashain hute hian zindagi nhin............
Friday, 6 April 2012
main mama aur bhai
naam bun=ht filmy hai:p kiyunkeh ab maire zindagi kisi film sa kam nhin.buht masroof hu gai hun ab main buht zyadah waqt nhin huta koi fazool ki such nhin hute ab aur ab tanhai sa khouf nhin aata.kia hu raha hai zindagi main phir kbhi likhunge laikin aaj buht ajeeb hua gare main baitha hua mjhay laga maire aankhun main nami hai......aik aurat aur uska 2 bachun ku daikh ker mjhay rona ana laga.......Khuda Nakhawasta woh mazoor nhin the un main koi kami nhin thi bus mjhay us main apni zindagi nazar aana lage.mjhay laga maire mama mjhay aur bhai ku laiker khin ja rhi hian...woh chutta bacha ziddi tha mjhay laga.but maira bhia ziddi nhin tha maire trah usa bhi maloom tha zid hum jaisa bachun ka lia nhin banai gai.........woh ladki tutle thi kitna meitha bolti thi aur apna bhai sa bahad pyar kerte thi .mjhay bhi apna bhai yaad aana laga kaisa huta tha woh chutta huta hua woh bara kiyun hua hai mjhay maira bhai use trah chaheiya jaisa woh chutta huta hua tha kia kisi na is pe research nhin ki keh kaisa maazi main jaya jai magar main nhin jana chahhte mazi main bus bhai ku dhundna chahte hun jiski masoom si hansi bhuli bhali aankhin khin bheid main khu gai hain yeh suchta hua mjhay dukh hua laga kisi na maira dil ku zor sa jhinjura hu.kia tha woh.....aisa aksar huta hai mjhay 2 chalta behan bhaiyun main apna bhai aur khud ka aks nazar aata hai .du behan bhaiyoun aur unki maan ku daikh ker khud apni maan ku us main dhundna lagte hun mager aaj maire aankhain nam thi .buht dinun baad masroof zindagi main maira pas waqt tha khud sa bat kerna ka dil sa mulaqat kerna ka..........
Friday, 30 March 2012
like n love
log kiyun nhin samajhhta kash main unhian samjha pati dikha patijo main kehti hun i love my mates i love many ppl but itx not necessary that I love them..............pyar ku kiyun galat laita hain log likeness ku pyar keh deta hain aakhir q.kiyun woh maira dil ku chairta hain aur main kiyyun pyar ku laiker itna senti hu jate hun love is a sacred emotion but itna sacred kiyun sawal yeh hai.,,,,,,,,,,,,,,,,ishq tu hum jiasa insaan ker hi nhin na ishq insan sa hua hai ishq wali kerta hia apna mehboob sa.ishq darwaish kerta hai apna eiman sa ishq kahan hum kahan....pyar aur ishq naam kiyun laita hian log aur yeh du alfaz mjhay kiyun azet deta hain aisa kiyun lagta hai sirf mainjante hun kia hai pyar kia hai ishq kiyun mera dil kerta hai jo log kehta hain pyar takleif deta hai unhian laganu ku keh pyar kab takleif deta hai tum pyar ka nam laiker humain takleif da raha hu na keru aur jabr ashiqun aur pyar kerna walun per unka is jazbah ku pakeezah rehna du Khudara
Wednesday, 21 March 2012
no more tears
kafi dinun sa main apna blog pe post kerna ka such rhi thi uni ki lab main jate thi mager wahan blogger chalta hi nhin mjhay yeh ghussa dilata hai maira itna dil tha kuch likhna ka.......mager koi nhin ab mainna such aaj rona dhuna wala no more commentx like no more tears.jab bhi main fazool main sad hute hun tu likhna aa jate hun mager jab khush hute hun tu blog pe post nhin kerte thatx not fair:( us din raat suna sa pehla main kiyun khush thi as always have no idea.main na bazu lamba ker ka donun books side pe para box pe rakha and was dying to lay my head on a pillow placed besides my mother's pillow. n laga jaisa sadyan guazar gain mjhay khawab daikha............buht maza aata hai sheikh chilli ki trah khawab bunanay main..haqeiqat sa door kisi deyo malai duniya main aik khubsurat muqaam per khubsurat lamhat...........buht maza aata hai ager aapko neind na aa rhi hu aur subah jalde uthhna hu khush rehna hu tu bus itna kerain khud ku ya koi prince sajhain ya princess.kisi romantic movie ka hero heroine hain aap apna khawaboun main aur koi kadghan nhin laga sakta aap ka in khawaboun pe............daikhya ga kaisa aapko neind aati hai aur raat aisa guzarte hai jaisa aik lamha jab zindagi aik sadiban jai tu jhutta lamhat guzarna mushkil huta hai mager khud ku aadi bana lain:P:P:P maira falsafa hai kbhi galat nhin huga:P:P
Subscribe to:
Posts (Atom)