Friday, 3 February 2012

bujh

bachun ka kandhay bara masoom huta hain woh yeh bujhh nin utha sakta...in alfaz na mjhay jhinjur dia ager aik nujawan ladki khud ka lia keh rhi thi keh uska kandhay nazuk hain tu maira kandhay tu abhi nazuk kamzor aur masoom the main tu faqt 5 saal ki umer sa yeh bujhh dhu rhi thi uski takleef duniya ku dikhi maire kiyun nhin.....
duniya bare taiz hai jahan apna matlab dikhta sab kuch daikh laite aur jab koi sarukar nhin huta tu wahan andhi ban jate hai apna usool badal laite hai............
aik aurat islia talaq na la seperation na kera kiyunkeh Islam na napasand kia mager kia Islam na pasand kia keh woh aik aisa rishta ku nibhai jo her roz usa aansoun uska bachun ku chand dil kharash yadain deta hai.nbachpan chein laita hai kaghaz ki kashte banata bacha saham jata hai khilunoun ka shouq palna sa pehla naansoun ka darya ban jata hai.kia yeh sab Islam na kaha.mard jab chahay jo ker dala....mager uska naam per aurat naam ki gai khunti per lattki raha.sirf aurat nhin un masoom bachun ka kia kasoor hai keh woh her roz aik aisa ghar main sans lain jahan unhain aona duniya main aana pe ghussa aai zindagi aik gali aur bachpan aik taanah laga..
un masoom kandhun pe kiyun dal dia jata hai nachaqiyoun ka bjhh..

No comments:

Post a Comment