kaL father's day tha.bara dil kia mjhay kuch likhna ka phir dil na hi
mana ker dia.maire trah maira dil aur dimagh khiska hua hain ya main
ulta bol gai main apna dil aur dimagh ki trah khiski hui hun.dil aur
dimagh pta nhin poora din kia kia bol ker mjhay pakata rehta hain itna
keh main chirchire hu jate hun...waisa mjh main insanun ki yeh khubi
mojud hai keh her baat ka lia kisi na kisi ku mourd-e-ilzam thah^ra dete
hun.iselia shayad kal na likhna ka lia bhi main na hazaroun heilay
bahanay dhund lia tha........aaj likhte hun dil khul ker sab ka samna
rakhte hun aaj kiyunkeh main jante hun buht kam log hian jo buht sa
alfaz aur lamba jumloun main sa woh nikaal pain jo dil main pinhan hai
jo haqeiqat hai jis sa koi ashna nhin.............fatherx day per buht
sa messages aai buht sa postx daikha magar woh maza nhin aaya jo mothers
day pe aata hai kaisa motherx day pe main rona lagte hun messages n
postx pedh ker..aur fatherx day per aankhain nam hute hian magar
muhabbat main nhin balkeh un manazir ku yaad ker ka jo maazi sa maira
samna aa khada huta hian.......abhi aik mah bhi nhin hua huga shayad jab
class main pyar aur pasand ki baat hui thi.kitna bhadak ghai the sab
maire batun pe magar kia unhun na adha din aur poori raat ka virudh
kia.nhin woh bhi janta tha yeh such hai...kbhi kisi na kaha tha mashriq
main jab kisi ka han beti paida hute hia tu baap apni beti ka jahaiz
jurna lag jata hai magar woh baap kahan hai koi mjhay bataou main na tu
is muashra main aisa mard daikha hai jo zalim hai jo khud gharz
hai.......man lia maira yeh tajzia ghalat hai tu phir us aurat ki awaz
ka kia jo maira kanun main gunjte hai .indian news channel pe thi woh
aurat .us sa hubby na kaha aurtain suchte buht hian.tab kis kadar
bebassi sa us mazloom aur babaus maan na kaha tha aur dukh tu is baat ka
hai keh mard suchta nhin..shayad waqiai main mahz kuch waqiait ki
roushni main aik bari majority ku bhi ghalat keh rhi hun magar kiya
kerun maira dil nhin manta achhai manana ku ..........dil kiyun nhin
manta pta nhin magar aisa hi hai jab us din mjhay pta chala tha keh
aksar baap ka sharamnak gunah ka kaffarah beti ada kerte hai tu main
kanp jate hun aur dil chahta hai duniya ka tamam walid hazrat ku boloun
beti ka paida huta hi usa zindah garh daina khudara usa zindah na
churna........aur aksar log maira in lamba chura ilzamaat ka jawab kuch
yun deta hain keh istrah tu kin bar maain bhi apni aulad ku jahannum
main jhuunk detihian tu phir mera dil gawahi deta hai maan majboori main
bhi aulad ka sath bura kerna sa pehla mout ku awal janaige aisa kiyun
hai pta nhin magar aaj tak maan ka khilaaf gadhi jana wali kisi kahani
ku main na such nhin mana aur baap ka khilaaf sunai gai jhutt ku bhi
kbhi sachai ki kasuti pe nhin parkha.kiyun iska jawab nhin milta magar
shayad iski wajah yeh muashra hu sakta hai jahan mard ku bar bar zalim
hi dikhaya gya hai
No comments:
Post a Comment