Saturday, 21 July 2012

uni life

aik din college life ka bara main likha tha aaj uni life ka bara main likna ki try kerte hun:P chutti c thi jan kin bajyun n bhaiyun ku uni jata daikhte thi:p baba re baba kia aish tha unka:P dil main khawahish palti thi clg ka baghair hi direct uni puhanch jaoun kia maza tha uni waloun ka jab dil chaha mounh utha ker kin chal dia kbhi aik jagah ghumna jata tha kbhi kin aur nikal jatya ghar dair sa aata phir bhi koi sawaal jawab nhin dil main bare shiddat sa umang jagte thi yeh zindagi humain bhi mil jai:p aur upper sa aik dam mast bhai log lagta tha sare bollywood movies aur star one ka drama uni ka lia hi huta hain bus ise umeed pe kisi n kisi trah her class main dhakka khata nakal kerta koi na koi jugaar kerta hum uni main puhanch hi gai:p kia suhaani rat thi jab main raat bhar nhin soi thi sucha tha kal uni main kitna handsomeladka hunga:p suna pe suhagaa:p tha bhi 14 feb[:D[ bus mano keh dil tu jaisa satwain aasman pe tha upper sa hum ghalate sa aise uni main jana wala tha jahan ka log zahanat aur fatanat ka lia mash^hoor huta hain:P kia tha keh panchun ungliyaan ghee main n sar karahi main......khushi khushi subah tayyar hu ker jo uni puhancha sara armaan kisi na gala ghountt ker maar dia:p aise aise shaklain keh un sa behter tu academy hi thip n zahanat aur fatanat sa tu kisi ka door ka bhi koi nata nhin tha bus smjhh lag gai keh jis haseen sarab kla lia khawab buna tha:P woh tu aankhoun ka dhuka hi tha:p ab kia tha keh hum class khatam nhin huti thi pehla ghar jana ka suchta tha:p dair sa ana tu door ki baat uni jana ka dil nhin kerta tha:p ghumna tu tab jainga jab dil manaiga:p dil hai keh manta nhin:P:P:P khair yeh 3 baras bhi guzar jainga but andaza nhin tha aisa jahannum pe bhi koi itni shandaar movies bana sakta hai.salam hai us afsana nigaar per jo husn ku dhund laita hai aisa biayabanoun main:P n nupur aur mayank ki duniya zaroor koh kaaf pe hi hai:p

No comments:

Post a Comment