Saturday, 21 July 2012

uni life

aik din college life ka bara main likha tha aaj uni life ka bara main likna ki try kerte hun:P chutti c thi jan kin bajyun n bhaiyun ku uni jata daikhte thi:p baba re baba kia aish tha unka:P dil main khawahish palti thi clg ka baghair hi direct uni puhanch jaoun kia maza tha uni waloun ka jab dil chaha mounh utha ker kin chal dia kbhi aik jagah ghumna jata tha kbhi kin aur nikal jatya ghar dair sa aata phir bhi koi sawaal jawab nhin dil main bare shiddat sa umang jagte thi yeh zindagi humain bhi mil jai:p aur upper sa aik dam mast bhai log lagta tha sare bollywood movies aur star one ka drama uni ka lia hi huta hain bus ise umeed pe kisi n kisi trah her class main dhakka khata nakal kerta koi na koi jugaar kerta hum uni main puhanch hi gai:p kia suhaani rat thi jab main raat bhar nhin soi thi sucha tha kal uni main kitna handsomeladka hunga:p suna pe suhagaa:p tha bhi 14 feb[:D[ bus mano keh dil tu jaisa satwain aasman pe tha upper sa hum ghalate sa aise uni main jana wala tha jahan ka log zahanat aur fatanat ka lia mash^hoor huta hain:P kia tha keh panchun ungliyaan ghee main n sar karahi main......khushi khushi subah tayyar hu ker jo uni puhancha sara armaan kisi na gala ghountt ker maar dia:p aise aise shaklain keh un sa behter tu academy hi thip n zahanat aur fatanat sa tu kisi ka door ka bhi koi nata nhin tha bus smjhh lag gai keh jis haseen sarab kla lia khawab buna tha:P woh tu aankhoun ka dhuka hi tha:p ab kia tha keh hum class khatam nhin huti thi pehla ghar jana ka suchta tha:p dair sa ana tu door ki baat uni jana ka dil nhin kerta tha:p ghumna tu tab jainga jab dil manaiga:p dil hai keh manta nhin:P:P:P khair yeh 3 baras bhi guzar jainga but andaza nhin tha aisa jahannum pe bhi koi itni shandaar movies bana sakta hai.salam hai us afsana nigaar per jo husn ku dhund laita hai aisa biayabanoun main:P n nupur aur mayank ki duniya zaroor koh kaaf pe hi hai:p

Saturday, 7 July 2012

intelligent kidxxxx

i once heard somewhere intelligent kidx are emotionally weak.no matter how busy parents are.how educated they are they are bothered about grades.they want to see their children as toppers and their they think their task ends..y dun they see how weak an intelligent kid can be..can't they see y their kid cries and worries over little things.y dun they understand intelligenc is not a mark that they are good at kids parenting.....y dun they understand if their kid is confident it never means that he/she is confident by nature..y parents dun intensively study about their kids as they do abt institutes and careers they choose for their children y?

nafrat

nafrat kia hai............koi mjkhay aik bar samjha day keh nafrat kia hai...............kis sa nafrat ki jate hai aur kiyun.main us sa balkeh main kisi sa bhi nafrat kiyun nhin ker pati...........kia yeh taqat hai ya kamzori ....akhir hai kia nafrat...........kbhi dil chahta hai khud ku hi mar dun yeh jhamaila hi na rahain nafrat ka....mjhay nafrat kerni thi mjhay us sa shadeed nafrat kerni thi.mager dil hia keh manta nhin hazar heelay bahana dhund laita hai aur phir mian naram ped jate hun.kbhi jab suchte hun tu woh hasti mjhay maseiha lagte hai aur jab baith ker kuch mazeid lamhay yaad kerte hun tu us hasti sa khud sa mjhay ghin aana lagte hai itni nafrat maira ander aa jate hai keh dil chahta hai sare duniya khatam ker dun aaj bus aur phir kuch lamhay guzarna ka baad maira dil main uska lia hamdarde aa jate hai.....kiyun main nafrat nhin ker pati kisi sa kia shart hai nafrat ka lia .kia shart hai keh main us sa hamaisha nafrat kerun

Sunday, 17 June 2012

dayx

kaL father's day tha.bara dil kia mjhay kuch likhna ka phir dil na hi mana ker dia.maire trah maira dil aur dimagh khiska hua hain ya main ulta bol gai main apna dil aur dimagh ki trah khiski hui hun.dil aur dimagh pta nhin poora din kia kia bol ker mjhay pakata rehta hain itna keh main chirchire hu jate hun...waisa mjh main insanun ki yeh khubi mojud hai keh her baat ka lia kisi na kisi ku mourd-e-ilzam thah^ra dete hun.iselia shayad kal na likhna ka lia bhi main na hazaroun heilay bahanay dhund lia tha........aaj likhte hun dil khul ker sab ka samna rakhte hun aaj kiyunkeh main jante hun buht kam log hian jo buht sa alfaz aur lamba jumloun main sa woh nikaal pain jo dil main pinhan hai jo haqeiqat hai jis sa koi ashna nhin.............fatherx day per buht sa messages aai buht sa postx daikha magar woh maza nhin aaya jo mothers day pe aata hai kaisa motherx day pe main rona lagte hun messages n postx pedh ker..aur fatherx day per aankhain nam hute hian magar muhabbat main nhin balkeh un manazir ku yaad ker ka jo maazi sa maira samna aa khada huta hian.......abhi aik mah bhi nhin hua huga shayad jab class main pyar aur pasand ki baat hui thi.kitna bhadak ghai the sab maire batun pe magar kia unhun na adha din aur poori raat ka virudh kia.nhin woh bhi janta tha yeh such hai...kbhi kisi na kaha tha mashriq main jab kisi ka han beti paida hute hia tu baap apni beti ka jahaiz jurna lag jata hai magar woh baap kahan hai koi mjhay bataou main na tu is muashra main aisa mard daikha hai jo zalim hai jo khud gharz hai.......man lia maira yeh tajzia ghalat hai tu phir us aurat ki awaz ka kia jo maira kanun main gunjte hai .indian news channel pe thi woh aurat .us sa hubby na kaha aurtain suchte buht hian.tab kis kadar bebassi sa us mazloom aur babaus maan na kaha tha aur dukh tu is baat ka hai keh mard suchta nhin..shayad waqiai main  mahz kuch waqiait ki roushni main aik bari majority ku bhi ghalat keh rhi hun magar kiya kerun maira dil nhin manta achhai manana ku ..........dil kiyun nhin manta pta nhin magar aisa hi hai jab us din mjhay pta chala tha keh aksar baap ka sharamnak gunah ka kaffarah beti ada kerte hai tu main kanp jate hun aur dil chahta hai duniya ka tamam walid hazrat ku boloun beti ka paida huta hi usa zindah garh daina khudara usa zindah na churna........aur aksar log maira in lamba chura ilzamaat ka jawab kuch yun deta hain keh istrah tu kin bar maain bhi apni aulad ku jahannum main jhuunk detihian tu phir mera dil gawahi deta hai maan majboori main bhi aulad ka sath bura kerna sa pehla mout ku awal janaige aisa kiyun hai pta nhin magar aaj tak maan ka khilaaf gadhi jana wali kisi kahani ku main na such nhin mana aur baap ka khilaaf sunai gai jhutt ku bhi kbhi sachai ki kasuti pe nhin parkha.kiyun iska jawab nhin milta magar shayad iski wajah yeh muashra hu sakta hai jahan mard ku bar bar zalim hi dikhaya gya hai

Saturday, 16 June 2012

sach

mjhay dar lagta hai main chahte hun koi kuch na bola kuch na kaha kuch bhi na badla maire zindagi main bus main isetrah sab ki khamoshi main apni duniya badal lun...aik sach khula tu hazar raaz afshaan hunga mjhay dar lagta hai un sachaiyun sa.sach kedwa huta hai mana magar yahan sirf kadwa nhin hia maira wajud pe sawal hai............main woh suchaiyaan nhin badal saktein..un main sa kuch bhi nhin badal sakte.aik lamha ki ghalate aur insaan kaisa sare umr ka lia gunaahgaarun aur darpookoun ki zindagi guzarta hai..main ba^awaaze buland kehti hun main na kuch ghalat nhin kia tu main kiyun darun.kbhi aik sa ladte tu kbhi kisi senior ku ba^nuqt suna dete hu.jab main na kuch ghalat nhin kia tu kiyun darun in sab sa..mager is maamla main dar jate hun...darte hun najana kiyun.maire ghalate nhin hai mager gunaangar main hi hunge sab ka nazdeik...kasoor kisi ka hai mager main jante hun sazawar hum hi thahrai jainga............ager yeh ach pehla khul jata tu shayad dukh dard kuch na huta mager itna saal jhutt jeena aur sehna ka baad sach ka khulna mjhay dahla deta hai..kia such khulna lazmi huta hai ya kbhi kbhi jhutt ka sath hi qabar tak nibha kia jai.........

Tuesday, 29 May 2012

what i have in common

aaj shayad angraize main na likh paoun so writing in urdu.limits hu gain ab tu...........main aaj tak past main rehti rhi is umeed pe main ghalat hun ...insaan ku kbhi khud ku nhin jhukana chaheiya kisi ka lia...koi insaan iska haqdar nhin aur jo haqdar huga woh aapko jhukna nhin daiga........zindagi main rishtun ka peicha na bhago bus jo rishta aisa hain jin main aapko ikhtiyar nhin unhain nibhaou mager khud sa aisa koi rishta na banaou kiyunkeh aisa rishtah zyadah takleif deta hai.......................kbhi aap kisi sa mahz kuch alfaz sunana ka lia ghanttun baith^tay hain aur phir kuch lamhun main aap ku lagta hai sara intzaar aap na aansoun ka lia kia...........apni zindagi main ager kisi ku ahmeit deta hu tu usa pta na lagna du kiyunkeh woh insaan kitna hi mahaan kiyun na hu tmhain azmaiga..............khud ku bacha lo azmaish sa us dard sa aur rishtun ki dor kbhi na seinchu....amuman jo log aapko rishtay seinchna seikhata hain aapka sath apna rishta ku pal bhar main berehmi sa tur deta hain aur aapko milta hai tu salha rasta hua aik zakhm!

Wednesday, 9 May 2012

ajnabi

maira dil kerta hai jab main likhun tu perhna wala ku kbji mera na pta chala keh main kon hun main na yeh jo likha kiyun likha.ab her kisi ka apna andax hai likhna ka koi apni zindagi likhta hai koi kisi ki kahani likhta hai aur koi donun ka naya murakab bana deta hai mager main kia likhte hun pta nhin na main pta kerna chahte hun jawab buht paichedah hai is sawal ka...........main kia likhte hun kaisa likhte hun kbhi mjhay lagta hai main na sab kuch bta dia hia duniya ku apna bara main phir yeh kaisa nasamjhh log hian jo nhin samajhh pai jan pai lazmi tu nhin main kahun main ro rhi hun kia jo mjhay jantya samajhhta hai ya jisa janana ka haq hai usa khud pta chal jaiga main ro rhi hun chaha main likhun main hans rhi hun.shayad main kuch zyadah hiumeedain laga rhi hun aur ise wajah sa aaj bhi tanha thi buht sa logun ka darmyan tanha kia jhutta sacha qahqahay haqeqat chupa deta hain.ya such tu yeh hai main khud sach sa darte hun n itna ghiri hui hun sat^hai batun main koi gehra sawal aa jai tu such bh jhutt hi lagta hai n jhutt bhi such...itna kuch likhna kehna ka baad bhi main aik ajnabi thi aur anjaan hi rehna chahte thi:P