woh kis shaan sa muskura raha tha jaisa uski is jeet main koi pachtawa nhin tha............
kia
woh buht achha fankar tha ya woh is qadar sangdil keh usa koi ehsaas
nhin tha apni is jhutti shaan ka lia us na kitna logun ki shaan unki
izzat unka maan sab ka khoon kia tha.
woh bemurawwat hi hai pathar
dil hi hai itna achha fankar nhin hia aaj pehli bar dil o dimagh na aik
hi faislah dia tha uska haq main.........
main na 4 anmol saal is
umeed pe guzar dia Allah maire sunaiga mager us na suni ya nhin suni bus
yeh zaroor hua aaj main hamaisha ki trah har gai main na behtre ki dua
ki thi aur behter yehi tha main harun kiyunkeh jeetna main na kbhi jiya
hi nhin jeet ki khushi main na kbhi daikhi hi nhin aur aik langoor ka
hath main angoor hun is main koi behtre nhin.
jab usa yeh sabit kerna tha keh sameera sa usa ulfat nhin us na mjhay muhra banaya maira armaan maira maan maira dawaay sab ku
paoun
tala masalta hua us na mjhay aik aam si ladki ku aik khas jagah ata ki
mjhay woh sab dia jiska gumaan bhi maira lia aik gumaan tha mjhay aik
muqaaam dia jiska khawab bhi aik khawab tha mager aaj us na phainka tu
istrah keh pataal ka woh hissa kisi kitaab kisi afsana main nhin
tha.......4 saal baad usa yeh sabit kerna tha main usaka baghair kuch
nhin aur sameera na har ker uski jis ana ki taskeen ki use ku sairab
kerna ka lia us na mjhay aik jungle main chur dia jahan maira paas ab na
jute thi na chadar thi aur na hi koi chat thi tu bus aik ghinaouni
tabeer .aaj main phir un bhaidyoun ka darmyan thi jin sa panaah main ro
ro ker mangte thi.jin sa aaman per nawafil perhta na thaki thi.khairat
kerta na dil bhara tha aur aaj tu maira pas kuch nhin tha apni hifazat
ka lia..main na sab ku mehfoox daikhna chaha tha mager khud ku mehfooz
na ker pai thi.aaj phir use mour pe thi jis sa nijaat ka lia main na
khud ki hasti tak ku mar dala tha ana ka soda ker dia tha izzat-e-nafx
ku kisi kona main band ker dia tha....kia yeh maira anjaam hai ya iska
baad bhi kuch hai..........
No comments:
Post a Comment