main buht akaile hu gai thi aik alishaan ghar main.bahir sa jab main apna dostun ka sath us ghar ku daikhte thi sab ki ankhun main hasrat hte thi mager main us ghar ki veerani pe roti thi .unhain kaisa btate unka khawaboun ka mahal main kitni tareek eiden hute hain kitna mushkil hai is ghar main rehna mager unhian main pagal lagte tabhi main na aik ghar dhunda pta hai woh ghar buht haseen tha ander bhi jaou tu jazb-e-nazar mehal tha.....log kehta hain nazrun ka sarab hai woh ghar mager mjhay uswaqt nazrun ka dhuka bhi apni tanhai door kerna ka lia mozoun laga.us ghar main sab buht khudgharz the mager pta nhin kiyun main na usa chun lia wahan din raat main na beetai buht roi hunge main us ghar main mager main khush bhi thi us ghar main buht sa log the islia shayad:(mager phir pta hai kia hua buht bura hua woh log jin ka lia main na khud ku hi mitta dia unhun na mjhh sa mounh mour lia.unka lia jab koi aur nhin huta tha tu woh maira pas aa jata hum log batain kerta kbhi kisi aik kamra ka lia nai designs lana ka aur kbhi nai curtains ka lia mager junhi unka apna aata woh sab mjhay chur deta kisi ku mjhh sa koi gharz nhin thi un sab ka lia main aik aisa khiluna tha jis sa khaila tu ja sakta hai mager ghar main baki khilonoun ka sath nhin rakha ja sakta.buht zillat mehsoos hute hai yeh such ker aur phir main na apna faisla pe nazar saani ki .main na buht kuch ghalat faislun ka baad seikha tha aur aaj bhi aik baat seikhi thi.apnun sa ager gham mila tu jaaiz hai kiyunkeh aapko ikhtiyaar nhin tha apnun ku chunana ka lia mager ghairun ku apna kareeb ana ka muqa aap khud deta hain un sa milna wala dukh aapka dil main buht gehri jagah banata hain aur un zakhmun sa khoon bhi nhin likhta................kisi ku bi nhin dikhta apnun ku bhi nhin ghairun ku bhi nhin yahan tak keh aapka apna dimagh un zakhmun ka wajud ki nafi ker deta hai.aik ghalate main na bhi us ghar main.main na shayad un logun ki pasand na pasand ka khana banaya jinka khayal rakhna wala aur buht the aur jinko shayad maira khayal tha unko apna khayal main main na yaad hi nhin rakha.ghalatiyan buht kerte hun main
No comments:
Post a Comment